• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Thi Titliyon Ke Taaqub Mein Zindagi Meri

Thi Titliyon Ke Taaqub Mein Zindagi Meri

akhtar-hoshiyarpuri

thi titliyon ke ta.aqub men zindagi meri

vo shahr kya hua jis ki thi har gali meri

main apni zaat ki tashrih karta phirta tha

na jaane phir kahan avaz kho gai meri

ye sarguzisht-e-zamana ye dastan-e-hayat

adhuri baat men bhi rah gai kami meri

hava-e-koh-e-nida ik zara Thahar ki abhi

zamana ghaur se sunta hai an-kahi meri

main itne zor se chiḳha chaTaḳh gaya hai badan

phir is ke ba.ad kisi ne nahin suni meri

ye darmiyan ka ḳhala hi mira nahin varna

ye asman bhi mera zamin bhi meri

kise ḳhabar ki guhar kaise haath aate hain

samundaron se bhi gahri hai ḳhamushi meri

koi to aae mire paas do ghaḌi baiThe

ki kar gai mujhe tanha ḳhud-agahi meri

kabhi kabhi to zamana raha nigahon men

kabhi kabhi nazar aai na shakl bhi meri

mujhe ḳhabar hai kahan huun main kaun huun ‘aḳhtar’

ki mere naam se surat giri hui meri

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chashm-O-Dil Sahab-E-Guftar Hue Jate Hain

Tere Darida Gareban Mein Ye Rafu Kya Hai

Bahut Shiddat Se Jo Qaem Hua Tha

Dil Hi Dil Mein Sulag Ke Bujhe Hum Aur Sahe Gham Dur Hi Dur

Ek Shaghl Shab-E-Hijr Ki Zinat Ki Tarah Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet