zindagi ko ek rangin dastan samjha tha main
zindagi bar-e-garan hai ye kahan samjha tha main
haan vahi aansu Tapak kar kitna rusva kar ga.e
jin ko apna razdar-e-be-zaban samjha tha main
un ka daman thaam kar kitne daraḳhshan ho ga.e
mere vo aansu ki jin ko ra.egan samjha tha main
allah allah un ke paa.e naaz ka husn-e-ḳhiram
rahguzar thi un ki jis ko kahkashan samjha tha main
tah-ba-tah zulm-o-sitam ki ik rida-e-nil-gun
khinch di sar par jise haft asman samjha tha main
ajiib shaḳhs tha mansur sochta huun main
ki de ke sar bhi pukara kiya ḳhuda huun main
na sair-gah na meri qayam-gah yahan
bhaTak ke hadd-e-ta.ayyun men aa gaya huun main
ḳhirad ki saari haden paar ho ga.iin phir bhi
kisi pe ye na khula aaj tak ki kya huun main
suna hai jab se har ik shai men tera jalva hai
baḌe ghurur se a.ina dekhta huun main
Leave a Reply