dekh us ko khvab men jab aankh khul jaati hai subh
kya kahun main kya qayamat mujh pe tab laati hai subh
shama jab majlis se mah-ruon ki leti hai utha
kya kahun kya kya sunen us vaqt dikhlati hai subh
jis ka gora rang ho vo raat ko khilta hai khuub
raushnai shama ki phiki nazar aati hai subh
paas tu sota hai chanchal par gale lagta nahin
minnaten karte hi saari raat ho jaati hai subh
niind se uthta hai ‘taban’ jab mira khurshid-ru
dekh us ke munh ke taiin sharma ke chhup jaati hai subh