raton ko jagne ki saza ban ke rah gaya
main teri aarzu men dua ban ke rah gaya
ik bazgasht mera muqaddar bani rahi
main gumbadon ke beach sada ban ke rah gaya
har gaam tishnagi ka safar tha mire liye
ghar se chala to dasht-e-bala ban ke rah gaya
milne ki aarzu ne jalaya tamam raat
main teri rahguzar pe diya ban ke rah gaya
gum-sum khaḌi thi raat andhera sameT kar
koi ḳhayal tha ki diya ban ke rah gaya
nikla tha asman ki vus.at ko napne
main apni chahaton men ḳhala ban ke rah gaya
‘ḳhalid’ khaḌa tha main bhi saza aur jaza ke biich
dhaḌka jo dil to ḳhauf-e-ḳhuda ban ke rah gaya
Leave a Reply