jab bhi mujh ko apna bachpan yaad aata hai
bachpan ke ik pyaar ka bachpan yaad aata hai
dekh ke is munh-zor javani ki munh-zori
mujh ko is ka totla bachpan yaad aata hai
aurat maan thi bahan thi daadi thi naani thi
kore kaghaz jaisa bachpan yaad aata hai
tufani barish ghar men sailab ka aalam
ThanDa chulha bhuka bachpan yaad aata hai
tanha.i ka dukh to kam ho kisi bahane
dekhen kis ka kis ka bachpan yaad aata hai
shahd ke jaisi miThi boli yaad aati hai
duudh ke jaisa ujla bachpan yaad aata hai
bachpan ke yaron se milta rahta huun main
‘qaisar’ mujh ko sab ka bachpan yaad aata hai
Leave a Reply