ham pe jaur-o-sitam ke kya maani
tark-e-rahm-o-karam ke kya maani
aish-o-ishrat se gham ke kya maani
farbahi hai diram ke kya maani
raat furqat ki kis ko kahte hain
roz-e-hijr-e-sanam ke kya maani
gar nahin us ka saghar-e-mai-nab
kahiye phir jam-e-jam ke kya maani
pujna but ka hai ye kya mazmun
aur tavaf-e-haram ke kya maani
kucha-e-gul-rukhan ko kahte hain
aur bagh-e-iram ke kya maani
yunhi vaada karo yaqin ho jaae
kyuun qasam luun qasam ke kya maani
majra chashm-e-nam ka tu samjhe
lekin abr-o-karam ke kya maani
bose vaade se kam nahin manzur
dam na do ham ko dam ke kya maani
ek do tiin chaar panch chhe saat
yunhi gin lenge kam ke kya maani
ai ‘sakhi’ yaar ne dikhai kamar
shab jo puchha adam ke kya maani
Leave a Reply