tumhare ishq pe dil ko jo maan tha na raha
sitara ek sar-e-asman tha na raha
vo aur the ki jo na-khush the do jahan le kar
hamare paas to bas ik jahan tha na raha
tu apni fath ka ailan kar main haar gai
vo hausla ki mujhe jis pe maan tha na raha
vahi kahani hai kirdar bhi vahi hain magar
jo ek naam sar-e-dastan tha na raha
sadaen doge palat kar kabhi to dekhoge
hamare dil men ye mubham guman tha na raha
Leave a Reply