vaise is ab-o-gil men kya na hua
koi banda magar ḳhuda na hua
uf re un ke jamal ka aalam
mujh se iz.har-e-mudda.a na hua
saqi-e-mai-kada ne jo de di
main use pi ke bad-maza na hua
mujh se ibrat jahan ko hasil hai
main bura ho ki bhi bura na hua
zaḳhm dil ka shumar kaun kare
tiir us ka koi ḳhata na hua
qaid-e-gham se magar riha na hua
main ne koshish bhi ki dua bhi ki
qaid-e-gham se magar riha na hua
mar gaya ‘asi’-e-shikasta-dil
ye bhi achchha hua bura na hua
Leave a Reply