dava karte karte dua karte karte
jiya huun ummid-e-shifa karte karte
qaza aa.e hamd-o-sana karte karte
ḳhuda se dua-e-ata karte karte
taras aa gaya hoga munsif ko ham par
bari kar gaya jo saza karte karte
hamari taraf kis liye ab hain maa.il
badal kyon ga.e vo jafa karte karte
hamari taraf kis liye ab hain maa.il
badal kyon ga.e vo jafa karte karte
harifon ka mashrab hai shikve shikayat
yahin mar miTenge gila karte karte
kahin Duub jaa.e na apna safina
yahin naḳhuda naḳhuda karte karte
ra.ison ki sehat men kya farq aaya
hamin mar miTe iktifa karte karte
vo aadam ki ma.asumiyat allah allah
vahi kar ke baiTha mana karte karte
kasar sab nikal ja.egi ‘nami’ ik din
jiye hain jo makr-o-riya karte karte
Leave a Reply