kis tarah par aise bad-khu se safai kijiye
jis ki tinat men yahi ho kaj-adai kijiye
jab masiha ki ho marzi kaj-adai kijiye
is jagah kya dard-e-dil ki phir davai kijiye
us se khinch rahta huun jab tab ye kahe hai mujh se dil
ashiqi ya kijiye ya mirzai kijiye
gar ye dil apna kahe men apne hove naseha
baith kar kunj-e-qanaat men khudai kijiye
kya yahi thi shart kuchh insaf ki ai tund-khu
jo bhala ho aap se us se burai kijiye
vo bhala-changa hua bargashta mujh se aur bhi
kya bayan naale ki apne na-rasai kijiye
kha gaya laghzish qadam aisa buton ko dekh kar
ji men ye aaya ki tark-e-parsai kijiye
aks ho malum us ka ghar hi baithe ai ‘surur’
pahle zang-e-dil ki jab apne safai kijiye
Leave a Reply