kaisa khazana ye to zad-e-safar nahin rakhti
khana-ba-dosh mohabbat koi ghar nahin rakhti
yadon ke bistar par teri khushbu kadhun
is ke sava to aur main koi hunar nahin rakhti
koi bhi avaz us ki aahat nahin hoti
koi bhi khushbu us ka paikar nahin rakhti
main jangal huun aur apni tanhai par khush
meri jaden zamin men hain koi dar nahin rakhti
vo jo laut bhi aaya to kya daan karungi
main to us ke naam ka ik zevar nahin rakhti
‘mira’ maan miri aag ko koi gun nahin aaya
us murat ko raam karun ye hunar nahin rakhti
Leave a Reply