ye taalluq tiri pahchan bana sakta tha
tu mire saath bahut naam kama sakta tha
ye bhi ejaaz mujhe ishq ne bakhsha tha kabhi
us ki avaz se main diip jala sakta tha
main ne bazar men ik baar ziya banti thi
mera kirdar mire haath kata sakta tha
kuchh masail mujhe ghar rok rahe hain varna
main bhi majnun ki tarah khaak uda sakta tha
ab to tinka mujhe shahtir se bhari hai ‘khayal’
main kisi vaqt bahut bojh utha sakta tha
Leave a Reply