bujhe charagh se mahtab dekh sakta huun
main apne ḳhvab men ye ḳhvab dekh sakta huun
main apni aankh ke ujḌe hue dayaron se
kisi bhi dasht ko shadab dekh sakta huun
tumhari yaad ke Thahre hue samundar men
chhupe hue hain jo girdab dekh sakta huun
main is zamane ki ranginiyon ko pal bhar men
jamal-e-yar men gharqab dekh sakta huun
mujhe vo nuur mayassar hai jis se der talak
main apni shab ko ‘sahartab’ dekh sakta huun
Leave a Reply