zaban ka qarz utarne nahin diya main ne
har ek zaḳhm ko nasur kar liya main ne
ye soch kar ki koi asman manzil hai
junun men apna nasheman jala diya main ne
vo jis ki shakl bhi ankhon ko nagavar hui
usi ke tanz ko dil men basa liya main ne
hasad ki ek tava.if suha.i ankhon ko
vafa se is liye daman chhuḌa liya main ne
badan ke peḌ the ankhon ki kashtiyan thiin jahan
vahan pe ek bhi lamha nahin jiya main ne
kahin dilon men andhere the raston men kahin
safar tamam siyahi men tai kiya main ne
Leave a Reply