tamam ru-e-zamin par sukut chhaya tha
nuzul kaisi qayamat ka hone vaala tha
yahan to aag ugalti hai ye zamin har su
vo ek abr ka paara kahan pe barsa tha
bas ek baar hua tha vajud ka ehsas
bas ek baar dariche se us ne jhanka tha
abhi Dasa na gaya tha ye jism tapta hua
abhi ḳhazina-e-maḳhfi pe saanp soya tha
safar men sar pe tiri dhun to thi savar magar
nigah men koi manzil na koi rasta tha
ye qatra bahr-e-ma.ani hai maujzan jis men
qalam ki nok se pahle kabhi na Tapka tha
Leave a Reply