Din Raat Kis Ki Yaad Thi Kaisa Malal Tha

din raat kis kī yaad thī kaisā malāl thā

sadqe meñ kuchh to bol tū kyā tujh pe haal thā

chhūTā tirā marīz agar mar gayā ki shoḳh

jo dam thā zindagī kā so us par vabāl thā

nāḳhun tire kī mehñdī se tanhā nahīñ haiñ daaġh

chande shafaq se na.al-dar-ātish hilāl thā

is soch se khulī hai haqīqat ki ek umr

makkhī kī farj o shaiḳh kī dāḌhī kā baal thā

jhagḌā mirā kiyā hī na tiiñ saaf varna shoḳh

zarra zabāñ pe teġh kī ye infisāl thā

‘qā.em’ maiñ reḳhta ko diyā ḳhil.at-e-qubūl

varna ye pesh-e-ahl-e-hunar kyā kamāl thā

Leave a Comment