hava ki jalti hui rida ko sahab kar de
sulagti raton ki sa.aton ko gulab kar de
main pyaas ban kar samundaron ko pukar aaya
jaza de ya meri tishnagi ka hisab kar de
sarab-o-sahra habab-o-dariya miri kahani
varaq varaq noch kar mujhe be kitab kar de
lahu ki barish zamin se pyaar ka sila hai
to kaaT de mera sar mujhe aftab kar de
dua ke sukhe hue labon par itaab kaisa
nichoḌ de badalon ko atish ko aab kar de
Leave a Reply