aks-dar-aks aa.ina taqsim
ek bande pe sau ḳhuda taqsim
chashm-e-dar chashm-e-mauj mauj-e-furat
ruh-dar-ruh karbala taqsim
infiradi shikar che ma.ani
chaar bazon men faḳhta taqsim
ḳhanjaron par lahu ki sad aahaT
sau zabanon men za.iqa taqsim
ḳhvan le kar farishte utre the
muflisi kar ga.i ana taqsim
kholta kaun paanv ki bandish
har qadam pe tha rasta taqsim
saans karne ki sochiye ‘parvez’
ab nahin hone ko hava taqsim
Leave a Reply