hata ke mez se ik roz aina main ne
phir apne-ap se rakkha na vasta main ne
jab apne-ap se pahchan apni kho ke mili
to khud hi kaat diya apna rasta main ne
main kam-sini men bhi gudiya kabhi nahin kheli
palon men tai kiya barson ka fasla main ne
charagh huun mujhe jab dhuup raas aa na saki
to khud sikod liya apna daera main ne
main apne aap men huun ya nahin, kabhi apna
kisi ko thiik bataya nahin pata main ne
ajiib kya jo bikhera nahin samet ke phir
tamam umr umidon ka silsila main ne
Leave a Reply