
Najeeb Ahmad
sar-e-niyaz vo sauda nazar nahin aata
vo jaisa pahle tha vaisa nazar nahin aata
vo raat thi to basar ho ga.i bahar-surat
agar ye din hai to kaTta nazar nahin aata
ye kis ki oT men jalte rahe ruton ke charagh
kisi gali men ujala nazar nahin aata
rukun to hujla-e-manzil pukarta hai mujhe
qadam uTha.un to rasta nazar nahin aata
hava men ruui ke galon ki tarah uḌta hai
mujhe vo qaul ka pakka nazar nahin aata
‘najib’ chaar taraf nafraton ki ThaThen hain
chaḌha hua ho to dariya nazar nahin aata

Leave a Reply