• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Geet / Sathi Hath Badhana

Sathi Hath Badhana

sahir-ludhianvi

ek akela thak jaega mil kar bojh uthana

sathi haath badhana

ham mehnat valon ne jab bhi mil kar qadam badhaya

sagar ne rasta chhoda parbat ne siis jhukaya

fauladi hain siine apne fauladi hain banhen

ham chahen to paida kar den chattanon men rahen

sathi haath badhana

mehnat apne lekh ki rekha mehnat se kya darna

kal ghairon ki khatir ki aaj apni khatir karna

apna dukh bhi ek hai sathi apna sukh bhi ek

apni manzil sach ki manzil apna rasta nek

sathi haath badhana

ek se ek mile to qatra ban jaata hai dariya

ek se ek mile to zarra ban jaata hai sahra

ek se ek mile to raai ban sakti hai parbat

sathi haath badhana

maati se ham laal nikalen moti laaen jal se

jo kuchh is duniya men bana hai bana hamare bal se

kab tak mehnat ke pairon men daulat ki zanjiren

haath badha kar chhin lo apne khvabon ki taabiren

sathi haath badhana

Filed Under: Geet Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ye Jo Har Harf Mere Lafz Ka Uljha Hua Hai

maryam-naz

Hasil-E-Fan Hai Bas Kalam Ki dad

poet

Tere Yaqin Ke Qabil Agar Nahin to Na Ho

Duniya Ne Bas Thaka Hi Diya Kaam Kam Hue

poet

Bach Kar Kahan Main Unki Nazar Se Nikal Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet