apna gham le ke kahin aur na jaaya jaae
ghar men bikhri hui chizon ko sajaya jaae
jin charaghon ko havaon ka koi khauf nahin
un charaghon ko havaon se bachaya jaae
khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab men
aur kuchh din abhi auron ko sataya jaae
baagh men jaane ke adab hua karte hain
kisi titli ko na phulon se udaya jaae
kya hua shahr ko kuchh bhi to dikhai de kahin
yuun kiya jaae kabhi khud ko rulaya jaae
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuun kar len
kisi rote hue bachche ko hansaya jaae
Leave a Reply