
Zakir Khan Zakir
sabhi ko ḳhvahish-e-tasḳhir-e-shauq-e-hukmarani hai
hamen lagta hai apna dil nahin ik rajdhani hai
yahin tahrir hai lamhat-e-sar-basta ke afsane
kitab-e-zindagi ke har varaq par ik kahani hai
shikast-o-reḳht ka manzar miri ankhon men rahne do
mujhe apne hi ḳhvabon ki abhi qimat chukani hai
ta.alluq TuuT jaane se mohabbat mar nahin jaati
ye vo dariya hai jis men bas ravani hi ravani hai
ye mere ashk-e-avara siyah-raton men jugnu hain
saja le apni palkon par unhen main zau-fishani hai
zara badle nahin hain gaanv se ham shahr men aa kar
hamare ḳhuun men zakir vahi saj-dhaj purani hai

Leave a Reply