mahv-e-naghma mira qatil jo raha karta hai
fann-e-mausiqi ko bhi zab.h kiya karta hai
ik vo zalim hi nahin mujh pe jafa karta hai
asman bhi isi chakkar men raha karta hai
barish-e-kaif-o-tarannum ka saman kya kahiye
naghma jaise lab-e-mutrib se chua karta hai
ab to har baat pe qur.an uTha lete hain
ab to iman sipar ban ke bika karta hai
uTh gaya mai-kade se shisha-o-saghar ka rivaj
ab to chullu se har ik rind piya karta hai
saath tasbih ke danon ke suna hai ham ne
shaiḳh biryani ki boTi bhi gina karta hai
main jahan men kisi aa.iin ka paband nahin
mere ghar aap hi qanun Dhala karta hai
kyuun na vaa.iz ke taqaddus ka asar ho dil par
roz mai-ḳhane men tasbih paḌha karta hai
jis ko samjhe hue the sidq-o-safa ka haami
jhuuT ki rassi vahi roz baTa karta hai
azm-bil-jabr ke hathon jo hua ho raushan
vo diya bhi kahin jhonkon se bujha karta hai
allah allah ye me.araj-e-mohabbat ai ‘shauq’
husn ab ishq ka paani hi bhara karta hai
Leave a Reply