ai gul-e-nau-damida ke manind
hai tu kis afrida ke manind
ham ummid-e-vafa pe teri hue
ghuncha-e-dair chida ke manind
khaak ko meri sair kar ke phira
vo ghazal-e-ramida ke manind
sar uthate hi ho gae pamal
sabza-e-nau-damida ke manind
na kate raat hijr ki jo na ho
naala tegh-e-kashida ke manind
ham giraftar-e-hal hain apne
tair-e-par-burida ke manind
dil tadapta hai ashk-e-khunin men
said-e-dar-khun tapida ke manind
tujh se yusuf ko kyunke nisbat den
kab shunida ho diida ke manind
‘mir’-sahib bhi us ke haan the lek
banda-e-zar kharida ke manind
Leave a Reply