shamil-e-karvan to ham bhi hain
teri janib ravan to ham bhi hai
ye haqiqat nahin to phir kya hai
ya.ani vahm-o-guman to ham bhi hain
bar-e-hijrat saron pe hai apne
itne be-ḳhanuman to ham bhi hain
kah rahe hain ḳhizan zada chehre
ai baharo yahan to ham bhi hain
sach na maano to jhuuT hi kah lo
ik ruḳh-e-dastan to ham bhi hain
ham ko ḳhak-e-rah-e-safar mat jaan
ai zamin asman to ham bhi hain
sirf ma.ani ki vus.aten hi nahin
lafz ke darmiyan to ham bhi hain
Leave a Reply