ho imtihan-e-vafa hashr tak to aar nahin
miri janab men nakamiyon ko baar nahin
qaba-e-hasti-e-batil jo taar taar nahin
to ai dil ahl-e-junun men tira shumar nahin
hai shart jalva-gah-e-naz men adab lekin
nigah bas men nahin dil pe iḳhtiyar nahin
suna hai jab se sar-e-hashr jalva-gar hoge
vo kis ka dil hai ki marhun-e-intizar nahin
kabhi karam hai saba ka kabhi inayat-e-barq
qafas-nasib ko zindan men bhi qarar nahin
na baghban ka gila hai na shikva-e-sayyad
samajh liya hai ki taqdir men bahar nahin
mili hamen vo salamat-ravi mohabbat men
ki ab kisi ki adavat bhi nagavar nahin
ma.al-e-abla-pa.i ayaan hai us se rashid
ki tishna mere lahu ki zaban-e-ḳhar nahin
Leave a Reply