is daur men har ik tah-e-charkh-e-kuhan luta
auron ka zar luta mira naqd-e-sukhan luta
khalvat-nashin ho to dil-e-ashiq men kar jagah
yuun daulat-e-jamal na ai sim-tan luta
bulbul ko kaisi kaisi huiin afaten nasib
gulchin ke dast-e-zulm se kya kya chaman luta
fariyad tak khuda se na ki ai sanam tiri
main be-zaban tire yahan ai be-dahan luta
nabbash ki jafaen huiin ham pe baad-e-marg
ai asman zer-e-zamin bhi kafan luta
jhonke chale hava ke pareshan hui vo zulf
khushbu tamam phaili hai mushk-e-khutan luta
‘hatim’ vo huun ki baad-e-fana dil ko duun salah
ab qabr men bhi khaak udaya kafan luta
be-dil sukhan huun ‘mehr’ padhun sinn-e-isavi
auron ka zar luta mira naqd-e-sukhan luta
Leave a Reply