abhi hamari mohabbat kisi ko kya maalum
kisi ke dil ki haqiqat kisi ko kya maalum
yaqin to ye hai vo khat ka javab likkhenge
magar navishta-e-qismat kisi ko kya maalum
ba-zahir un ko haya-dar log samjhe hain
haya men jo hai shararat kisi ko kya maalum
qadam qadam pe tumhare hamare dil ki tarah
basi hui hai qayamat kisi ko kya maalum
ye ranj o aish hue hijr o vasl men ham ko
kahan hai dozakh o jannat kisi ko kya maalum
jo sakht baat sune dil to tuut jaata hai
is aine ki nazakat kisi ko kya maalum
kiya karen vo sunane ko pyaar ki baten
unhen hai mujh se adavat kisi ko kya maalum
khuda kare na phanse dam-e-ishq men koi
uthai hai jo musibat kisi ko kya maalum
abhi to fitne hi barpa kiye hain aalam men
uthaenge vo qayamat kisi ko kya maalum
janab-e-‘dagh’ ke mashrab ko ham se to puchho
chhupe hue hain ye hazrat kisi ko kya maalum
Leave a Reply