
Shaz Tamkanat
sambhla nahin dil tujh se bichhaḌ kar ka.i din tak
main a.ina tha ban gaya patthar ka.i din tak
kya chiiz thi ham rakh ke kahin bhuul ga.e hain
vo chiiz ki yaad aa.i na aksar ka.i din tak
ai shaḳh-e-vafa phir vo parinda nahin lauTa
main ghar men tha nikla nahin bahar ka.i din tak
vo bojh ki thi jis se mire sar ki bulandi
vo bojh gira uTh na saka sar ka.i din tak
ham ne bhi bahut us ko bhulane ki dua ki
ham ne bhi bahut dekha hai ro kar ka.i din tak
kahte hain ki a.ina bhi dekha nahin us ne
sunte hain ki pahna nahin zevar ka.i din tak
ham taan ke so.e the ki kyuun aa.ega vo ‘shaz’
deta raha dastak vo barabar ka.i din tak

Leave a Reply