kamre men dhuan dard ki pahchan bana tha
kal raat koi phir mira mehman bana tha
bistar men chali aaen machalti hui kirnen
aghosh men takiya tha so anjan bana tha
vo main tha mira saaya tha ya saae ka saaya
aina muqabil tha main hairan bana tha
nazron se churata raha jismon ki halavat
sunte hain koi sahib-e-iman bana tha
naddi men chhupa chand tha sahil pe khamoshi
har rang lahu-rang ka zindan bana tha
harfon ka bana tha ki maani ka khazina
har sher mira bahs ka unvan bana tha
Leave a Reply