kisi surat se ho jaata hai saman-e-safar paida
irada kar hi leta hai ḳhud apni rahguzar paida
gunahgari ki niyyat ko gunahgari nahin kahte
safar ke qasd se hoti hai kab gard-e-safar paida
zaruri kya ki barse aag uupar se nasheman par
ḳhas-o-ḳhashak hain ho ja.enge barq-o-sharar paida
koi pursan-e-gham ho ya na ho kya farq paḌta hai
aziyyat ḳhud hi kar leti hai apna charagar paida
‘munavar’ mujh pe sham-e-yas ghalib aa nahin sakti
ki har ummid se hota hai ik rang-e-sahar paida
Leave a Reply