vo zindagi se kya gaya dhuan uḌa ke rakh diya
makan ke ik sutun ne makan gira ke rakh diya
vo raah se chala gaya to raah moḌ ban ga.i
mire safar ne rasta kahan chhupa ke rakh diya
kisi diye ki tarz se guzar rahi hai zindagi
yahan jala ke rakh diya vahan bujha ke rakh diya
vajud ki bisat par baḌi ajiib maat thi
yaqin luTa ke uTh ga.e guman bacha ke rakh diya
Leave a Reply