gham-e-duniya ko bas meri taraf aane ki jaldi hai
har achchhe vaqt ko mujh se bichhaḌ jaane ki jaldi hai
baḌa nuqsan kar baiThi main apna jald-bazi men
usi ko kho diya main ne jise paane ki jaldi hai
tum itna muḳhtasar sa vaqt le kar aa.e hi kyon the
idhar aane men deri ki udhar jaane ki jaldi thi
haTa kar raah ke kanTe nikal aa.i saliqe se
mujhe jab manzil-e-maqsud ko paane ki jaldi thi
‘siya’ sab kah rahe hain zindagi ki aur ab dekho
magar dil ki tamannaon ko mar jaane ki jaldi hai
Leave a Reply