kisi tarah bhi jo is reg-zar-e-hasti par
ubhar saka jo na puura vo naqsh-e-pa huun main
jo har taraf se havaon ki Thokaren khaa.e
dar-e-qubul ki rad-karda vo dua huun main
na hauslon men tamavvuj na valvalon men ḳharosh
isi ka naam hai jiina to ji raha huun main
vafa pe tanz hai avargi-e-shauq nahin
har astan pe jo sajde bikherta huun main
badal saki jise ab tak na be-ruḳhi teri
vahi vafa ka sataya hua ‘raza’ huun main
Leave a Reply