bulbul kaho gul ki kya khabar hai
gulshan men bahar kis qadar hai
manzur-e-nazar hai jab se khush-chashm
apni na kisu taraf nazar hai
gar shaikh ne aah ki to mat bhuul
dil men patthar ke bhi sharar hai
nargis jo khadi hai ‘ishq’ hairan
kis janiye kis ki raah par hai
Leave a Reply