• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gulon Ko Chhu Ke Shamim-E-dua Nahin Aai

Gulon Ko Chhu Ke Shamim-E-dua Nahin Aai

ada-jafarey

gulon ko chhu ke shamim-e-dua nahin aai

khula hua tha daricha saba nahin aai

hava-e-dasht abhi to junun ka mausam tha

kahan the ham tiri avaz-e-pa nahin aai

abhi sahifa-e-jan par raqam bhi kya hoga

abhi to yaad bhi be-sakhta nahin aai

ham itni duur kahan the ki phir palat na saken

savad-e-shahr se koi sada nahin aai

suna hai dil bhi nagar tha rasa basa bhi tha

jala to aanch bhi ahl-e-vafa nahin aai

na jaane qafile guzre ki hai qayam abhi

abhi charagh bujhane hava nahin aai

bas ek baar manaya tha jashn-e-mahrumi

phir is ke baad koi ibtila nahin aai

hatheliyon ke gulabon se khuun rista raha

magar vo shokhi-e-rang-e-hina nahin aai

ghayur dil se na mangi gai murad ‘ada’

barasne aap hi kaali ghata nahin aai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet, Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tumhaare Sine Mein Dil Ke Jaisa Jo Ek Patthar dhaDak Raha Hai

Hum Apne Dukh Ko Gane Lag Gae Hain

naseem-syed

Apni Taswir Mujhe Aap Banani Hogi

poet

Hamari Maut Ka Wahid Hai Ye Gawah Badan

Teri Nigah Se Ise Bhi Guman Hua Ki Main Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet