kabhi main zikr karun din ki shadmani ka
fasana ḳhatm to ho shab ki sargirani ka
simaT ke aa gaya qadmon men kis tarah sahra
suna tha shor bahut us ki be-karani ka
ajab nahin ki na.e raste nikal aa.en
kisi ne rasta roka hai bahte paani ka
tamam ahl-e-zaban batilon ke haq men hain
mujhe malal nahin apni be-zabani ka
jo baat kahni thi ab tak kahi nahin main ne
main iḳhtitam karun kaise is kahani ka
ḳhuda samajhta hai ḳhud ko yahan jo aata hai
ajiib haal hai ‘alam’ sara-e-fani ka
Leave a Reply