Jab Koi Aalam-E-Shuhud Na Tha

jab koī ālam-e-shuhūd na thā

maiñ bhī ik ḳhvāb thā vajūd na thā

apnī taḳhlīq se huā mahdūd

varna maiñ jāntā hudūd na thā

mujh meñ bhī lau thī aag thī pahle

merā sarmāya sirf duud na thā

jaane us ne mujhe ḳharīdā kyuuñ

maiñ ziyāñ hī ziyāñ thā suud na thā

tarz-e-iz.hār ne kiyā maḳhsūs

ḳhaas ash.ār kā varūd na thā

ik asīrī yahāñ thī shart-e-shanāḳht

aur maiñ banda-e-quyūd na thā

tujh se rañgīnī-e-jahāñ hai ‘suhail’

pahle ye rañg-e-hast-o-būd na thā

Leave a Comment