fasl-e-gul saath liye baagh men kya aati hai
bulbul-e-naghma-sara ru-ba-qaza aati hai
dil dhadakta hai ye kahte hue us mahfil men
yaan kisi ko khafaqan ki bhi dava aati hai
aaj vo shokh hai aur kasrat-e-araish hai
dekh kis vaste pisne ko hina aati hai
kya khule baagh men vo chashm-e-hijab-aluda
aankh uthate hue nargis ko haya aati hai
jan-kani husn-paraston ko giran kya guzre
bhes men hur-e-bahishti ke qaza aati hai
is liye rashk-e-chaman baagh men gul hanste hain
ki udati tiri raftar saba aati hai
maraz-e-ishq se ‘bimar’ jo ghabrata hai
yaar kahta hai mujhe khuub dava aati hai
Leave a Reply