ghaTa.en raqs karti hain ye mausam raqs karte hain
vo zulfon ko jab apni kar ke pur-nam raqs karte hain
baḌi masti baḌi gahra.i hai un shoḳh ankhon men
unhin men mast ho kar donon aalam raqs karte hain
hava.en aane lagti hain kabhi jab un ke daman ki
diye bhi kar ke apni lau ko maddham raqs karte hain
tumhare hijr ki raton men jab tanha.i Dasti hai
baja kar apni ham sanson ki sargam raqs karte hain
baharon jhumne lagti hain un ka naam sunte hi
saja lete hain gul honTon pe shabnam raqs karte hain
miyan ham to qalandar hain hamara haal mat puchho
hamare siine men kitne hi sangam raqs karte hain
kabhi jab mil ke aate hain kahin tanha.i men un se
dariche band kar lete hain aur ham raqs karte hain
hazaron bijliyan sadqe men un ke TuuT jaati hain
pahan ke nuur ki paa.el jo hamdam raqs karte hain
‘nadim’ apni ada aisi hai jis ke samne aa kar
ḳhushi mad.hosh ho jaati hai aur gham raqs karte hain
Leave a Reply