
Naeem Zarrar Ahmad
vaqt ka silsila nahin rukta
laakh roko zara nahin rukta
ye zamin hai ḳhudaon ka madfan
adam-e-kaj-ada nahin rukta
ishq vo chaar su safar hai jahan
koi bhi rasta nahin rukta
raftagan a.ina dikhata hai
kuchh bhi ho irtiqa nahin rukta

Leave a Reply