• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chand Mohmal Si Sargoshiyon Se Pare KHamushi Ki Rida Mein Hain lipTe Hue

Chand Mohmal Si Sargoshiyon Se Pare KHamushi Ki Rida Mein Hain lipTe Hue

chand mohmal si sargoshiyon se pare ḳhamushi ki rida men hain lipTe hue

lab-ba-lab ho ga.e jab zamin asman chand ubhra ufuq par chamakte hue

raat ham se baghal-gir aise hui saare raushan tasavvur hue sanvle

raah suraj ki takte rahe sub.h tak ham ujale ki chaukhaT pe baiThe hue

lazzat-e-lams se band ankhen huiin sirf sanson se hoti rahi guftugu

rafta rafta pighalte rahe barf se phir dhuan ho ga.e jism jalte hue

pahli barish mohabbat ki thi aur ham asmanon ki janib chale be-ḳhatar

phir hava daf.atan samne aa ga.i apne Denon pe talvar bandhe hue

un luTeri nigahon ko kya hai ḳhabar chiir kar siina aa.e hain jo sat.h par

kitne taklif-dah hain samundar ko ye ḳhushbuon ke jazire ubharte hue

asman par dhanak badalon men chamak baaz ki paini nazren hadaf par lagin

chhat pe jangali kabutar hai sahma hua apne bhige paron ko sameTe hue

zehn men ek manzar hai chipka hua jaise mehman-ḳhane men ho painting

chand ke gore mukhḌe pe uljhi ghaTa aankh bhigi hui lab hain sulge hue

aankh men jagmagati hui ḳhvahishen nim-shab sharm ki jhalaren ban ga.iin

kamna.en dulhan ban ke itra rahin karchobi sharara sanbhale hue

mere bistar pe kirchen hain tanha.i ki ḳhvab TuuTe hue ḳhushk ankhon men hain

jazb jo kar sake ab vo anchal nahin ashk Darte hain ghar se nikalte hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dasht-E-Wahshat Ko Faqat Qais Hi Bhaya Hua Hai

poet

Jaan Apni Chali Jae He Jae Se Kasu Ki

Apne Rahne Ka Thikana Aur Hai

ahmad-hamdani

Ye Wafaen Sari dhoke Phir Ye dhoke Bhi Kahan

akhtar-ansari-akbarabadi

Koshish-e-Paiham Ko Sai-e-Raegan Kahte Raho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet