afkar ke sanche men Dhali taaza ghazal hai
ya vaqt ke pechida savalat ka hal hai
ye sang ki buniyad pe ta.amir na hoga
ye mere taḳhayyul ka hasin shish-mahal hai
main apni mohabbat ka badal DhunD raha huun
vo kaun hai jo meri mohabbat ka badal hai
ai tar-e-nafas TuuT bhi ja der na kar ab
ehsas ki balin pe khaḌi kab se ajal hai
jo arsa-e-mazi hai muarriḳh ki nazar men
sha.ir ki nigahon men vo guzra hua pal hai
jo hijr ke mausam men khule daagh ki surat
vo phuul ba-alfaz-e-digar aag ka phal hai
main dars-e-tahammul huun ‘saba’ rah-e-talab men
duniya ye samajhti hai ki baazu mira shal hai
Leave a Reply