nazar uTha.en to kya kya fasana banta hai
sau pesh-e-yar nigahen jhukana banta hai
vo laakh be-ḳhabar-o-be-vafa sahi lekin
talab kiya hai gar us ne to jaana banta hai
ragon talak utar aa.i hai zulmat-e-shab-e-gham
so ab charagh nahin dil jalana banta hai
para.i aag mira ghar jala rahi hai so ab
ḳhamosh rahna nahin ghul machana banta hai
qadam qadam pe tavazun ki baat mat kiije
ye mai-kada hai yahan laḌkhaḌana banta hai
bichhaḌne vaale tujhe kis tarah bata.un main
ki yaad aana nahin tera aana banta hai
ye dekh kar ki tire ashiqon men main bhi huun
jamal-e-yar tira muskurana banta hai
junun bhi sirf dikhava hai vahshaten bhi ghalat
divana hai nahin ‘faris’ divana banta hai
Leave a Reply