dil-e-be-mudda.a ka mudda.a kya
use yaksan rava kiya narava kya
jinhen har saans bhi ik marhala hai
unhen raas aa.e duniya ki hava kya
koi sunta nahin hai muflison ki
gharibon ka payambar kya ḳhuda kya
nigah-e-dost men jachta nahin jab
to phir main kya mira zehn-e-rasa kya
baḌa achchha kiya aaj aa ga.e tum
chalo chhoḌo na aa.e kal hua kya
jo ḳhud dast-e-talab phaila raha ho
sakhi bhi ho to us ka aasra kya
agar majbur hai jiine par insan
to phir kaise kaTe ye sochna kya
Leave a Reply