phulon ki chand taron ki mahfil fareb hai
rangin haqiqaton men bhi shamil fareb hai
paani ke madd-o-jazr ko samjha hai zindagi
maujen bhi hain fareb jo sahil fareb hai
rangini-e-hayat ka aalam na puchhiye
har aarzu fareb hai har dil fareb hai
mahsus dil men dard sa hone laga hai kyuun
kya pyaar ki nazar men bhi shamil fareb hai
bas ruk gaya to ruk gaya ulfat ki raah men
manzil na kar qubul ki manzil fareb hai
un ki nigah-e-lutf hai ‘arif’ ki zindagi
kya gham agar hayat men shamil fareb hai
Leave a Reply