raqs karti hain falak par bijliyan ab kya karun
meri punji hai yahi ik ashiyan ab kya karun
aar hai sunne se un ko dastan ab kya karun
mere qaabu men nahin meri zaban ab kya karun
alam-e-ghurbat hai main huun aur andheri raat hai
luT gaya aise men saara karvan ab kya karun
lijiye rone lage hichki bandhi ghash kar ga.e
aur abhi hai ibtida-e-dastan ab kya karun
duur manzil na-tavani se qadam uThna muhal
kya karun ai chara-saz-e-be-kasan ab kya karun
dil men aaya tha ki khinchun ek ah-e-pur-asar
un ki surat aa ga.i phir darmiyan ab kya karun
duur sahil na-ḳhuda mayus tufan ka shabab
Dubti hai kashti-e-umr-e-ravan ab kya karun
rahte rahte jab mujhe zindan se ulfat ho chali
hukm hota hai ki kaaTo beḌiyan ab kya karun
sathiyon tak girte paḌte main pahunch jaata ‘sa.id’
ban ga.i divar gard-e-karvan ab kya karun
Leave a Reply