• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Batlaun Kaise Din Main kaT Raha Hun

Kya Batlaun Kaise Din Main kaT Raha Hun

kya batla.un kaise din main kaaT raha huun

moti huun aur raste men bekar paḌa huun

lambi lambi caron valon se achchha huun

rukhi-sukhi jo milti hai kha leta huun

tanha.i men akasr main socha karta huun

suraj chand sitare kya hain aur main kya huun

badal parbat dariya chashme jangal sahra

kyuun bhate hain main in sab ka kya lagta huun

aag aur paani men kahte hain bair baḌa hai

lekin main to us se mil kar ḳhush hota huun

itni nafrat yaaro mujh se kyuun karte ho

main bhi gulshan ka ik gul huun tum jaisa huun

mere chahne valon ka bhi ik halqa hai

main bhi gulzaron ki vaadi ka jharna huun

mere chal-chalan se bhi kuchh hasil kar lo

main bhi ik autar ka sa darja rakhta huun

ek hi manzar ne ankhon ko Dhanp rakha hai

roz-e-avval se ye suraj dekh raha huun

ḳhud se jab baten karne ko ji chaha hai

ghar se uTh kar nadi kinare ja baiTha huun

mere haal se duniya ka andaza kar lo

main phaldar shajar ka ik piila patta huun

dhyan ko tanha.i ke ghar ka peḌ samjhiye

main bhi us ke saa.e men barson baiTha huun

jaane kis pal ki ḳhushbu hai mere aage

jaane kis duniya ke pichhe dauḌ raha huun

kaise kaise log guzarte hain nazron se

saara din main kaise kaise dukh sahta huun

mere ḳhadd-o-ḳhal ko dekho aur pahchano

main bhi apni irfani ka katba huun

bas ke pahiye ḳhaak uḌa jaate hain mujh par

vo kya janen kaun huun aur kis ka chehra huun

ata-pata kya puchh rahe ho mera logo

rampuri sha.ir huun aur ghazlen kahta huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Main Kam-Sini Ke Sabhi Khilaunon Mein Yun Bikharta Jawan Hua Tha

Pahle Ahbab Taghaful Ki Safai Denge

poet

Afsos Kya Jo Hum Bhi Tumhaare Nahin Rahe

Shikast-E-Zarf Se Khoen Na Hum Bharam Apna

Na Ibtida-E-Junun Hai Na Intiha-E-Junun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet