nazar nazar se milana koi mazaq nahin
mila ke aankh churana koi mazaq nahin
pahaḌ kaaT to sakta hai tesha-e-farhad
pahaḌ sar pe uThana koi mazaq nahin
uḌanen bharte rahen laakh ta.iran-e-ḳhayal
sitare toḌ ke laana koi mazaq nahin
lahu lahu hai jigar daagh daagh hai siina
ye do dilon ka fasana koi mazaq nahin
hava.en aaj bhi avara o pareshan hain
mahak gulon ki uḌana koi mazaq nahin
hazaron karvaTen lete hain asman o zamin
gire huon ko uThana koi mazaq nahin
ye aur baat bula.en na apni mahfil men
magar ‘ziya’ ko bhulana koi mazaq nahin
Leave a Reply